Hum Musalsal Ek Bayan Dete Hue
hum musalsal ek bayan dete hue
thak chuke hain imtihan dete hue
be-zaban alfaz kaghaz par yahan
gungi yaadon ko zaban dete hue
ho gae gharqab us ki aankh mein
KHwahishon ko hum makan dete hue
phir ubhar aaya teri yaadon ka chand
ujla ujla sa dhuan dete hue
lutf jalne ka alag hai hijr mein
zaKHm mere imtihan dete hue
la rahe hain nind ke aaghosh mein
ashk mujh ko thapkiyan dete hue
ro paDa tha jaane kyun wo Dakiya
aaj mujh ko chiTThiyan dete hue
ek bala ka shor tha aankhon mein par
kah na paya kuchh wo jaan dete hue
fasla itna na rakhna tha KHuda
is zamin ko aasman dete hue
(823) Peoples Rate This