Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd59073811cd0c31fcf03495e57ec3ec, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaane Kis MoD Par Maine Dekha Nahin - Almas Shabi Poetry In English - Darsaal

Jaane Kis MoD Par Maine Dekha Nahin

jaane kis moD par main ne dekha nahin

muD gaya ham-safar main ne dekha nahin

tum ko malum ho to batana mujhe

rah gai main kidhar main ne dekha nahin

waqt ki siDhiyan chaDhte dekha use

wo gaya phir kidhar main ne dekha nahin

le ke aaya tha mere liye raushni

jab gaya chhoD kar main ne dekha nahin

mil hi jati kabhi koi manzil mujhe

ek qadam lauT kar main ne dekha nahin

tum gae sath us ke jidhar bhi kahin

tum samajhna udhar main ne dekha nahin

pyar hai kis qadar us ko mujh se 'shabi'

chuDiyan toD kar main ne dekha nahin

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kis MoD Par Maine Dekha Nahin In English By Famous Poet Almas Shabi. Jaane Kis MoD Par Maine Dekha Nahin is written by Almas Shabi. Read famous Poem Jaane Kis MoD Par Maine Dekha Nahin for youth and Student by Almas Shabi. Free Download Jaane Kis MoD Par Maine Dekha Nahin in PDF.