Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_593cd286ff2e0c37ee5deeb27fe96102, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Hansi Mein Chhupa Diya Hoga - Almas Shabi Poetry In English - Darsaal

Gham Hansi Mein Chhupa Diya Hoga

gham hansi mein chhupa diya hoga

chashm-e-nam ne bata diya hoga

bhul jaane ki us ko aadat thi

us ne mujh ko bhula diya hoga

ek KHat tha subut chahat ka

wo bhi us ne jala diya hoga

raat chupke se le uDi thi hawa

raaz dil ka bata diya hoga

hijr ke mare dil ko bhi us ne

jaane kaise sula diya hoga

phir bulaya hai aaj naseh ne

gul kisi ne khila diya hoga

hai yaqin mujh ko zikr par mere

wo faqat muskura diya hoga

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Hansi Mein Chhupa Diya Hoga In English By Famous Poet Almas Shabi. Gham Hansi Mein Chhupa Diya Hoga is written by Almas Shabi. Read famous Poem Gham Hansi Mein Chhupa Diya Hoga for youth and Student by Almas Shabi. Free Download Gham Hansi Mein Chhupa Diya Hoga in PDF.