Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_854ad595ca2655488a129b5d5c9ceb0e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Diya MunDer Pe Dil Ki Jala Rahi Hun Main - Almas Shabi Poetry In English - Darsaal

Diya MunDer Pe Dil Ki Jala Rahi Hun Main

diya munDer pe dil ki jala rahi hun main

hawa-mizaj ko wapas bula rahi hun main

mujhe kisi ke bhi jaane se dukh nahin hota

na jaane kis liye aansu baha rahi hun main

ye teri marzi ki aae na aae wapas tu

nizam-e-dil ko to dil se chala rahi hun main

isi charagh se har samt raushni hogi

jala hai dil to diye sab bujha rahi hun main

jo hath aaj mujhe thamte nahin hain 'shabi'

gae dinon mein to un ki dua rahi hun main

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diya MunDer Pe Dil Ki Jala Rahi Hun Main In English By Famous Poet Almas Shabi. Diya MunDer Pe Dil Ki Jala Rahi Hun Main is written by Almas Shabi. Read famous Poem Diya MunDer Pe Dil Ki Jala Rahi Hun Main for youth and Student by Almas Shabi. Free Download Diya MunDer Pe Dil Ki Jala Rahi Hun Main in PDF.