Parinde Ki Fariyaad
aata hai yaad mujh ko guzra hua zamana
wo bagh ki bahaaren wo sab ka chahchahana
aazadiyan kahan wo ab apne ghonsle ki
apni KHushi se aana apni KHushi se jaana
lagti hai choT dil par aata hai yaad jis dam
shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana
wo pyari pyari surat wo kaamani si murat
aabaad jis ke dam se tha mera aashiyana
aati nahin sadaen us ki mere qafas mein
hoti meri rihai ai kash mere bas mein
kya bad-nasib hun main ghar ko taras raha hun
sathi to hain watan mein main qaid mein paDa hun
aai bahaar kaliyan phulon ki hans rahi hain
main is andhere ghar mein qismat ko ro raha hun
is qaid ka ilahi dukhDa kise sunaun
Dar hai yahin qafas mein main gham se mar na jaun
jab se chaman chhuTa hai ye haal ho gaya hai
dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai
gana ise samajh kar KHush hon na sunne wale
dukhte hue dilon ki fariyaad ye sada hai
aazad mujh ko kar de o qaid karne wale
main be-zaban hun qaidi tu chhoD kar dua le!
(13500) Peoples Rate This