Man Ka KHwab
main soi jo ek shab to dekha ye KHwab
baDha aur jis se mera iztirab
ye dekha ki main ja rahi hun kahin
andhera hai aur rah milti nahin
larazta tha Dar se mera baal baal
qadam ka tha dahshat se uThna muhaal
jo kuchh hausla pa ke aage baDhi
to dekha qatar ek laDkon ki thi
zamurrad si poshak pahne hue
diye sab ke hathon mein jalte hue
wo chup-chap the aage pichhe rawan
KHuda jaane jaana tha un ko kahan
isi soch mein thi ki mera pisar
mujhe is jamaat mein aaya nazar
wo pichhe tha aur tez chalta na tha
diya us ke hathon mein jalta na tha
kaha main ne pahchan kar meri jaan
mujhe chhoD kar aa gae tum kahan
judai mein rahti hun main be-qarar
piroti hun har roz ashkon ke haar
na parwa hamari zara tum ne ki
gae chhoD achchhi wafa tum ne ki
jo bachche ne dekha mera pech-o-tab
diya us ne munh pher kar yun jawab
rulati hai tujh ko judai meri
nahin is mein kuchh bhi bhalai meri
ye kah kar wo kuchh der tak chup raha
diya phir dikha kar ye kahne laga
samajhti hai tu ho gaya kya ise?
tere aansuon ne bujhaya ise!
(7748) Peoples Rate This