Ek PahaD Aur Gilahri
koi pahaD ye kahta tha ek gilahri se
tujhe ho sharm to pani mein ja ke Dub mare
zara si chiz hai is par ghurur! kya kahna!
ye aql aur ye samajh ye shuur! kya kahna!
KHuda ki shan hai na-chiz! chiz ban baiThen!
jo be-shuur hon yun ba-tamiz ban baiThen!
teri bisat hai kya meri shan ke aage
zamin hai past meri aan-ban ke aage
jo baat mujh mein hai tujh ko wo hai nasib kahan
bhala pahaD kahan jaanwar gharib kahan!
kaha ye sun ke gilahri ne munh sambhaal zara
ye kachchi baaten hain dil se inhen nikal zara!
jo main baDi nahin teri tarah to kya parwa!
nahin hai tu bhi to aaKHir meri tarah chhoTa
har ek chiz se paida KHuda ki qudarat hai
koi baDa koi chhoTa ye us ki hikmat hai
baDa jahan mein tujh ko bana diya us ne
mujhe daraKHt pe chaDhna sikha diya us ne
qadam uThane ki taqat nahin zara tujh mein
niri baDai hai! KHubi hai aur kya tujh mein
jo tu baDa hai to mujh sa hunar dikha mujh ko
ye chhaaliya hi zara toD kar dikha mujh ko
nahin hai chiz nikammi koi zamane mein
koi bura nahin qudarat ke kar-KHane mein
(6848) Peoples Rate This