Tariq Ki Dua
(undulus ke maidan-e-jang mein)
ye ghazi ye tere pur-asrar bande
jinhen tu ne baKHsha hai zauq-e-KHudai
do-nim un ki Thokar se sahra o dariya
simaT kar pahaD un ki haibat se rai
do-alam se karti hai begana dil ko
ajab chiz hai lazzat-e-ashnai
shahadat hai matlub-o-maqsud-e-momin
na mal-e-ghanimat na kishwar-kushai
KHayaban mein hai muntazir lala kab se
qaba chahiye us ko KHun-e-arab se
kiya tu ne sahra-nashinon ko yakta
KHabar mein nazar mein azan-e-sahar mein
talab jis ki sadiyon se thi zindagi ko
wo soz us ne paya unhin ke jigar mein
kushad-e-dar-e-dil samajhte hain us ko
halakat nahin maut un ki nazar mein
dil-e-mard-e-momin mein phir zinda kar de
wo bijli ki thi nara-e-la-tazar mein
azaem ko sinon mein bedar kar de
nigah-e-musalman ko talwar kar de
(7113) Peoples Rate This