Tarana-e-hindi
sare jahan se achchha hindostan hamara
hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
ghurbat mein hon agar hum rahta hai dil watan mein
samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara
parbat wo sab se uncha ham-saya aasman ka
wo santari hamara wo pasban hamara
godi mein khelti hain is ki hazaron nadiyan
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinan hamara
ai aab-rud-e-ganga wo din hai yaad tujh ko
utra tere kinare jab karwan hamara
mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna
hindi hain hum watan hai hindostan hamara
yunan o misr o ruma sab miT gae jahan se
ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara
kuchh baat hai ki hasti miTti nahin hamari
sadiyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara
'iqbaal' koi mahram apna nahin jahan mein
malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara
(5146) Peoples Rate This