Shikwa
kyun zayan-kar banun sud-faramosh rahun
fikr-e-farda na karun mahw-e-gham-e-dosh rahun
nale bulbul ke sunun aur hama-tan gosh rahun
ham-nawa main bhi koi gul hun ki KHamosh rahun
jurat-amoz meri tab-e-suKHan hai mujh ko
shikwa allah se KHakam-ba-dahan hai mujh ko
hai baja shewa-e-taslim mein mashhur hain hum
qissa-e-dard sunate hain ki majbur hain hum
saz KHamosh hain fariyaad se mamur hain hum
nala aata hai agar lab pe to mazur hain hum
ai KHuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
KHugar-e-hamd se thoDa sa gila bhi sun le
thi to maujud azal se hi teri zat-e-qadim
phul tha zeb-e-chaman par na pareshan thi shamim
shart insaf hai ai sahib-e-altaf-e-amim
bu-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim
hum ko jamiyat-e-KHatir ye pareshani thi
warna ummat tere mahbub ki diwani thi
hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzar
kahin masjud the patthar kahin mabud shajar
KHugar-e-paikar-e-mahsus thi insan ki nazar
manta phir koi an-dekhe KHuda ko kyunkar
tujh ko malum hai leta tha koi nam tera
quwwat-e-bazu-e-muslim ne kiya kaam tera
bas rahe the yahin saljuq bhi turani bhi
ahl-e-chin chin mein iran mein sasani bhi
isi mamure mein aabaad the yunani bhi
isi duniya mein yahudi bhi the nasrani bhi
par tere nam pe talwar uThai kis ne
baat jo bigDi hui thi wo banai kis ne
the hamin ek tere marka-araon mein
KHushkiyon mein kabhi laDte kabhi dariyaon mein
din azanen kabhi europe ke kalisaon mein
kabhi africa ke tapte hue sahraon mein
shan aankhon mein na jachti thi jahan-daron ki
kalma paDhte the hamin chhanw mein talwaron ki
hum jo jite the to jangon ki musibat ke liye
aur marte the tere nam ki azmat ke liye
thi na kuchh teghzani apni hukumat ke liye
sar-ba-kaf phirte the kya dahr mein daulat ke liye
qaum apni jo zar-o-mal-e-jahan par marti
but-faroshi ke ewaz but-shikani kyun karti
Tal na sakte the agar jang mein aD jate the
panw sheron ke bhi maidan se ukhaD jate the
tujh se sarkash hua koi to bigaD jate the
tegh kya chiz hai hum top se laD jate the
naqsh-e-tauhid ka har dil pe biThaya hum ne
zer-e-KHanjar bhi ye paigham sunaya hum ne
tu hi kah de ki ukhaDa dar-e-KHaibar kis ne
shahr qaisar ka jo tha us ko kiya sar kis ne
toDe maKHluq KHudawandon ke paikar kis ne
kaT kar rakh diye kuffar ke lashkar kis ne
kis ne ThanDa kiya aatish-kada-e-iran ko
kis ne phir zinda kiya tazkira-e-yazdan ko
kaun si qaum faqat teri talabgar hui
aur tere liye zahmat-kash-e-paikar hui
kis ki shamshir jahangir jahan-dar hui
kis ki takbir se duniya teri bedar hui
kis ki haibat se sanam sahme hue rahte the
munh ke bal gir ke hu-allahu-ahad kahte the
aa gaya ain laDai mein agar waqt-e-namaz
qibla-ru ho ke zamin-bos hui qaum-e-hijaz
ek hi saf mein khaDe ho gae mahmud o ayaz
na koi banda raha aur na koi banda-nawaz
banda o sahab o mohtaj o ghani ek hue
teri sarkar mein pahunche to sabhi ek hue
mahfil-e-kaun-o-makan mein sahar o sham phire
mai-e-tauhid ko le kar sifat-e-jam phire
koh mein dasht mein le kar tera paigham phire
aur malum hai tujh ko kabhi nakaam phire
dasht to dasht hain dariya bhi na chhoDe hum ne
bahr-e-zulmat mein dauDa diye ghoDe hum ne
safha-e-dahr se baatil ko miTaya hum ne
nau-e-insan ko ghulami se chhuDaya hum ne
tere kabe ko jabinon se basaya hum ne
tere quran ko sinon se lagaya hum ne
phir bhi hum se ye gila hai ki wafadar nahin
hum wafadar nahin tu bhi to dildar nahin
ummaten aur bhi hain un mein gunahgar bhi hain
ijz wale bhi hain mast-e-mai-e-pindar bhi hain
un mein kahil bhi hain ghafil bhi hain hushyar bhi hain
saikDon hain ki tere nam se be-zar bhi hain
rahmaten hain teri aghyar ke kashanon par
barq girti hai to bechaare musalmanon par
but sanam-KHanon mein kahte hain musalman gae
hai KHushi un ko ki kabe ke nigahban gae
manzil-e-dahr se unTon ke hudi-KHwan gae
apni baghlon mein dabae hue quran gae
KHanda-zan kufr hai ehsas tujhe hai ki nahin
apni tauhid ka kuchh pas tujhe hai ki nahin
ye shikayat nahin hain un ke KHazane mamur
nahin mahfil mein jinhen baat bhi karne ka shuur
qahr to ye hai ki kafir ko milen hur o qusur
aur bechaare musalman ko faqat wada-e-hur
ab wo altaf nahin hum pe inayat nahin
baat ye kya hai ki pahli si mudaraat nahin
kyun musalmanon mein hai daulat-e-duniya nayab
teri qudrat to hai wo jis ki na had hai na hisab
tu jo chahe to uThe sina-e-sahra se habab
rah-raw-e-dasht ho saili-zada-e-mauj-e-sarab
tan-e-aghyar hai ruswai hai nadari hai
kya tere nam pe marne ka ewaz KHwari hai
bani aghyar ki ab chahne wali duniya
rah gai apne liye ek KHayali duniya
hum to ruKHsat hue auron ne sambhaali duniya
phir na kahna hui tauhid se KHali duniya
hum to jite hain ki duniya mein tera nam rahe
kahin mumkin hai ki saqi na rahe jam rahe
teri mahfil bhi gai chahne wale bhi gae
shab ki aahen bhi gain subh ke nale bhi gae
dil tujhe de bhi gae apna sila le bhi gae
aa ke baiThe bhi na the aur nikale bhi gae
aae ushshaq gae wada-e-farda le kar
ab unhen DhunD charagh-e-ruKH-e-zeba le kar
dard-e-laila bhi wahi qais ka pahlu bhi wahi
najd ke dasht o jabal mein ram-e-ahu bhi wahi
ishq ka dil bhi wahi husn ka jadu bhi wahi
ummat-e-ahmad-e-mursil bhi wahi tu bhi wahi
phir ye aazurdagi-e-ghair sabab kya mani
apne shaidaon pe ye chashm-e-ghazab kya mani
tujh ko chhoDa ki rasul-e-arabi ko chhoDa
but-gari pesha kiya but-shikani ko chhoDa
ishq ko ishq ki aashufta-sari ko chhoDa
rasm-e-salman o uwais-e-qarani ko chhoDa
aag takbir ki sinon mein dabi rakhte hain
zindagi misl-e-bilal-e-habashi rakhte hain
ishq ki KHair wo pahli si ada bhi na sahi
jada-paimali-e-taslim-o-raza bhi na sahi
muztarib dil sifat-e-qibla-numa bhi na sahi
aur pabandi-e-ain-e-wafa bhi na sahi
kabhi hum se kabhi ghairon se shanasai hai
baat kahne ki nahin tu bhi to harjai hai
sar-e-faran pe kiya din ko kaamil tu ne
ek ishaare mein hazaron ke liye dil tu ne
aatish-andoz kiya ishq ka hasil tu ne
phunk di garmi-e-ruKHsar se mahfil tu ne
aaj kyun sine hamare sharer-abaad nahin
hum wahi soKHta-saman hain tujhe yaad nahin
wadi-e-najd mein wo shor-e-salasil na raha
qais diwana-e-nazzara-e-mahmil na raha
hausle wo na rahe hum na rahe dil na raha
ghar ye ujDa hai ki tu raunaq-e-mahfil na raha
ai KHusha aan roz ki aai o ba-sad naz aai
be-hijabana su-e-mahfil-e-ma baz aai
baada-kash ghair hain gulshan mein lab-e-ju baiThe
sunte hain jam-ba-kaf naghma-e-ku-ku baiThe
daur hangama-e-gulzar se yaksu baiThe
tere diwane bhi hain muntazir-e-hu baiThe
apne parwanon ko phir zauq-e-KHud-afrozi de
barq-e-derina ko farman-e-jigar-sozi de
qaum-e-awara inan-tab hai phir su-e-hijaz
le uDa bulbul-e-be-par ko mazaq-e-parwaz
muztarib-e-bagh ke har ghunche mein hai bu-e-niyaz
tu zara chheD to de tishna-e-mizrab hai saz
naghme betab hain taron se nikalne ke liye
tur muztar hai usi aag mein jalne ke liye
mushkilen ummat-e-marhum ki aasan kar de
mor-e-be-maya ko ham-dosh-e-sulaiman kar de
jins-e-na-yab-e-mohabbat ko phir arzan kar de
hind ke dair-nashinon ko musalman kar de
ju-e-KHun mi chakad az hasrat-e-dairina-e-ma
mi tapad nala ba-nishtar kada-e-sina-e-ma
bu-e-gul le gai bairun-e-chaman raaz-e-chaman
kya qayamat hai ki KHud phul hain ghammaz-e-chaman
ahd-e-gul KHatm hua TuT gaya saz-e-chaman
uD gae Daliyon se zamzama-pardaz-e-chaman
ek bulbul hai ki mahw-e-tarannum ab tak
us ke sine mein hai naghmon ka talatum ab tak
qumriyan shaKH-e-sanobar se gurezan bhi huin
pattiyan phul ki jhaD jhaD ke pareshan bhi huin
wo purani rawishen bagh ki viran bhi huin
Daliyan pairahan-e-barg se uryan bhi huin
qaid-e-mausam se tabiat rahi aazad us ki
kash gulshan mein samajhta koi fariyaad us ki
lutf marne mein hai baqi na maza jine mein
kuchh maza hai to yahi KHun-e-jigar pine mein
kitne betab hain jauhar mere aaine mein
kis qadar jalwe taDapte hain mere sine mein
is gulistan mein magar dekhne wale hi nahin
dagh jo sine mein rakhte hon wo lale hi nahin
chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon
jagne wale isi bang-e-dira se dil hon
yani phir zinda nae ahd-e-wafa se dil hon
phir isi baada-e-dairina ke pyase dil hon
ajami KHum hai to kya mai to hijazi hai meri
naghma hindi hai to kya lai to hijazi hai meri
(10183) Peoples Rate This