Sar-guzisht-e-adam
sune koi meri ghurbat ki dastan mujh se
bhulaya qissa-e-paiman-e-awwalin mein ne
lagi na meri tabiat riyaz-e-jannat mein
piya shuur ka jab jam-e-atishin main ne
rahi haqiqat-e-alam ki justuju mujh ko
dikhaya auj-e-KHayal-e-falak-nashin main ne
mila mizaj-e-taghayyur-pasand kuchh aisa
kiya qarar na zer-e-falak kahin main ne
nikala kabe se patthar ki muraton ko kabhi
kabhi buton ko banaya haram-nashin main ne
kabhi main zauq-e-takallum mein tur par pahuncha
chhupaya nur-e-azl zer-e-astin main ne
kabhi salib pe apnon ne mujh ko laTkaya
kiya falak ko safar chhoD kar zamin main ne
kabhi main ghaar-e-hira mein chhupa raha barson
diya jahan ko kabhi jam-e-aKHrin main ne
sunaya hind mein aa kar surud-e-rabbani
pasand ki kabhi yunan ki sarzamin main ne
dayar-e-hind ne jis dam meri sada na suni
basaya KHitta-e-japan o mulk-e-chin main ne
banaya zarron ki tarkib se kabhi aalam
KHilaf-e-mani-e-talim-e-ahl-e-din main ne
lahu se lal kiya saikDon zaminon ko
jahan main chheD ke paikar-e-aql-o-din main ne
samajh mein aai haqiqat na jab sitaron ki
isi KHayal mein raaten guzar din main ne
Dara sakin na kalisa ki mujh ko talwaren
sikhaya masala-e-gardish-e-zamin main ne
kashish ka raaz huwaida kiya zamane par
laga ke aaina-e-aql-e-dur-bin main ne
kiya asir shuaon ko barq-e-muztar ko
bana di ghairat-e-jannat ye sarzamin main ne
magar KHabar na mili aah raaz-e-hasti ki
kiya KHirad se jahan ko tah-e-nagin main ne
hui jo chashm-e-mazahir-parast wa aaKHir
to paya KHana-e-dil mein use makin main ne
(3358) Peoples Rate This