Ruh-e-arzi Aadam Ka Istiqbaal Karti Hai
khol aankh zamin dekh falak dekh faza dekh!
mashriq se ubharte hue suraj ko zara dekh!
is jalwa-e-be-parda ko parda mein chhupa dekh!
ayyam-e-judai ke sitam dekh jafa dekh!
betab na ho marka-e-bim-o-raja dekh!
hain tere tasarruf mein ye baadal ye ghaTaen
ye gumbad-e-aflak ye KHamosh fazaen
ye koh ye sahra ye samundar ye hawaen
thin pesh-e-nazar kal to farishton ki adaen
aaina-e-ayyam mein aaj apni ada dekh!
samjhega zamana teri aankhon ke ishaare!
dekhenge tujhe dur se gardun ke sitare!
napaid tere bahr-e-taKHayyul ke kinare
pahunchenge falak tak teri aahon ke sharare
tamir-e-KHudi kar asar-e-ah-e-rasa dekh
KHurshid-e-jahan-tab ki zau tere sharar mein
aabaad hai ek taza jahan tere hunar mein
jachte nahin baKHshe hue firdaus nazar mein
jannat teri pinhan hai tere KHun-e-jigar mein
ai paikar-e-gul koshish-e-paiham ki jaza dekh!
nalanda tere ud ka har tar azal se
tu jins-e-mohabbat ka KHaridar azal se
tu pir-e-sanam-KHana-e-asrar azal se
mehnat-kash o KHun-rez o kam-azar azal se
hai rakib-e-taqdir-e-jahan teri raza dekh!
(6213) Peoples Rate This