Mohabbat
urus-e-shab ki zulfen thin abhi na-ashna KHam se
sitare aasman ke be-KHabar the lazzat-e-ram se
qamar apne libas-e-nau mein begana sa lagta tha
na tha waqif abhi gardish ke aain-e-musallam se
abhi imkan ke zulmat-KHane se ubhri hi thi duniya
mazaq-e-zindagi poshida tha pahna-e-alam se
kamal-e-nazm-e-hasti ki abhi thi ibtida goya
huwaida thi nagine ki tamanna chashm-e-KHatam se
suna hai aalam-e-baala mein koi kimiya-gar tha
safa thi jis ki KHak-e-pa mein baDh kar saghar-e-jam se
likha tha arsh ke pae pe ek iksir ka nusKHa
chhupate the farishte jis ko chashm-e-ruh-e-adam se
nigahen tak mein rahti thin lekin kimiya-gar ki
wo is nusKHe ko baDh kar jaanta tha ism-e-azam se
baDha tasbih-KHwani ke bahane arsh ki jaanib
tamanna-e-dili aaKHir bar aai sai-e-paiham se
phiraya fikr-e-ajza ne use maidan-e-imkan mein
chhupegi kya koi shai bargah-e-haq ke mahram se
chamak tare se mangi chand se dagh-e-jigar manga
uDai tirgi thoDi si shab ki zulf-e-barham se
taDap bijli se pai hur se pakizgi pai
hararat li nafas-ha-e-masih-e-ibn-e-maryam se
zara si phir rububiyat se shan-e-be-niyazi li
malak se aajizi uftadgi taqdir shabnam se
phir in ajza ko ghola chashma-e-haiwan ke pani mein
murkkab ne mohabbat nam paya arsh-e-azam se
muhawwis ne ye pani hasti-e-nau-KHez par chhiDka
girah kholi hunar ne us ke goya kar-e-alam se
hui jumbish ayan zarron ne lutf-e-KHwab ko chhoDa
gale milne lage uTh uTh ke apne apne hamdam se
KHiram-e-naz paya aaftabon ne sitaron ne
chaTak ghunchon ne pai dagh pae lala-zaron ne
(6590) Peoples Rate This