Mirza Ghaalib
fikr-e-insan par teri hasti se ye raushan hua
hai par-e-murgh-e-taKHayyul ki rasai ta-kuja
tha sarapa ruh tu bazm-e-suKHan paikar tera
zeb-e-mahfil bhi raha mahfil se pinhan bhi raha
did teri aankh ko us husn ki manzur hai
ban ke soz-e-zindagi har shai mein jo mastur hai
mahfil-e-hasti teri barbat se hai sarmaya-dar
jis tarah naddi ke naghmon se sukut-e-kohsar
tere firdaus-e-taKHayyul se hai qudrat ki bahaar
teri kisht-e-fikr se ugte hain aalam sabza-war
zindagi muzmar hai teri shoKHi-e-tahrir mein
tab-e-goyai se jumbish hai lab-e-taswir mein
nutq ko sau naz hain tere lab-e-ejaz par
mahw-e-hairat hai surayya rifat-e-parwaz par
shahid-e-mazmun tasadduq hai tere andaz par
KHanda-zan hai ghuncha-e-dilli gul-e-shiraaz par
aah tu ujDi hui dilli mein aaramida hai
gulshan-e-wimar mein tera ham-nawa KHwabida hai
lutf-e-goyai mein teri ham-sari mumkin nahin
ho taKHayyul ka na jab tak fikr-e-kaamil ham-nashin
hae ab kya ho gai hindostan ki sar-zamin
aah ai nazzara-amoz-e-nigah-e-nukta-bin
gesu-e-urdu abhi minnat-pazir-e-shana hai
shama ye saudai-e-dil-sozi-e-parwana hai
ai jahanabaad ai gahwara-e-ilm-o-hunar
hain sarapa nala-e-KHamosh tere baam dar
zarre zarre mein tere KHwabida hain shams o qamar
yun to poshida hain teri KHak mein lakhon guhar
dafn tujh mein koi faKHr-e-rozgar aisa bhi hai
tujh mein pinhan koi moti aabdar aisa bhi hai
(3254) Peoples Rate This