Masjid-e-qurtuba
silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-hadsat
silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayat-o-mamat
silsila-e-roz-o-shab tar-e-harir-e-do-rang
jis se banati hai zat apni qaba-e-sifat
silsila-e-roz-o-shab saz-e-azal ki fughan
jis se dikhati hai zat zer-o-bam-e-mumkinat
tujh ko parakhta hai ye mujh ko parakhta hai ye
silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaenat
tu ho agar kam ayar main hun agar kam ayar
maut hai teri baraat maut hai meri baraat
tere shab-o-roz ki aur haqiqat hai kya
ek zamane ki rau jis mein na din hai na raat
aani-o-fani tamam mojaza-ha-e-hunar
kar-e-jahan be-sabaat kar-e-jahan be-sabaat
awwal o aaKHir fana baatin o zahir fana
naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aKHir fana
hai magar is naqsh mein rang-e-sabaat-e-dawam
jis ko kiya ho kisi mard-e-KHuda ne tamam
mard-e-KHuda ka amal ishq se sahab farogh
ishq hai asl-e-hayat maut hai us par haram
tund o subuk-sair hai garche zamane ki rau
ishq KHud ek sail hai sail ko leta hai tham
ishq ki taqwim mein asr-e-rawan ke siwa
aur zamane bhi hain jin ka nahin koi nam
ishq dam-e-jibrail ishq dil-e-mustafa
ishq KHuda ka rasul ishq KHuda ka kalam
ishq ki masti se hai paikar-e-gil tabnak
ishq hai sahba-e-KHam ishq hai kas-ul-karam
ishq faqih-e-haram ishq amir-e-junuud
ishq hai ibnus-sabil is ke hazaron maqam
ishq ke mizrab se naghma-e-tar-e-hayat
ishq se nur-e-hayat ishq se nar-e-hayat
ai haram-e-qurtuba ishq se tera wajud
ishq sarapa dawam jis mein nahin raft o bud
rang ho ya KHisht o sang chang ho ya harf o saut
mojaza-e-fan ki hai KHun-e-jigar se numud
qatra-e-KHun-e-jigar sil ko banata hai dil
KHun-e-jigar se sada soz o surur o surud
teri faza dil-faroz meri nawa sina-soz
tujh se dilon ka huzur mujh se dilon ki kushud
arsh-e-moalla se kam sina-e-adam nahin
garche kaf-e-KHak ki had hai siphar-e-kabud
paikar-e-nuri ko hai sajda mayassar to kya
us ko mayassar nahin soz-o-gudaz-e-sajud
kafir-e-hindi hun main dekh mera zauq o shauq
dil mein salat o durud lab pe salat o durud
shauq meri lai mein hai shauq meri nai mein hai
naghma-e-allah-hu mere rag-o-pai mein hai
tera jalal o jamal mard-e-KHuda ki dalil
wo bhi jalil o jamil tu bhi jalil o jamil
teri bina paedar tere sutun be-shumar
sham ke sahra mein ho jaise hujum-e-nuKHil
tere dar-o-baam par wadi-e-aiman ka nur
tera minar-e-buland jalwa-gah-e-jibrail
miT nahin sakta kabhi mard-e-musalman ki hai
us ki azanon se fash sirr-e-kalim-o-KHalil
us ki zamin be-hudud us ka ufuq be-saghur
us ke samundar ki mauj dajla o danyub o nil
us ke zamane ajib us ke fasane gharib
ahd-e-kuhan ko diya us ne payam-e-rahil
saqi-e-rabab-e-zauq faras-e-maidan-e-shauq
baada hai us ka rahiq tegh hai us ki asil
mard-e-sipahi hai wo us ki zirah la-ilah
saya-e-shamshir mein us ki panah la-ilah
tujh se hua aashkar banda-e-momin ka raaz
us ke dinon ki tapish us ki shabon ka gudaz
us ka maqam-e-buland us ka KHayal-e-azim
us ka surur us ka shauq us ka niyaz us ka naz
hath hai allah ka banda-e-momin ka hath
ghaalib o kar-afrin kar-kusha karsaz
KHaki o nuri-nihad banda-e-maula-sifat
har do-jahan se ghani us ka dil-e-be-niyaz
us ki umiden qalil us ke maqasid jalil
us ki ada dil-fareb us ki nigah dil-nawaz
aaj bhi is des mein aam hai chashm-e-ghazal
aur nigahon ke tir aaj bhi hain dil-nashin
bu-e-yaman aaj bhi us ki hawaon mein hai
rang-e-hijaz aaj bhi us ki nawaon mein hai
dida-e-anjum mein hai teri zamin aasman
aah ki sadiyon se hai teri faza be-azan
kaun si wadi mein hai kaun si manzil mein hai
ishq-e-bala-KHez ka qafla-e-saKHt-jaan
dekh chuka almani shorish-e-islah-e-din
jis ne na chhoDe kahin naqsh-e-kuhan ke nishan
harf-e-ghalat ban gai ismat-e-pir-e-kunisht
aur hui fikr ki kashti-e-nazuk rawan
chashm-e-faransis bhi dekh chuki inqalab
jis se digar-gun hua maghrabiyon ka jahan
millat-e-rumi-nizhad kohna-parasti se pir
lazzat-e-tajdida se wo bhi hui phir jawan
ruh-e-musalman mein hai aaj wahi iztirab
raaz-e-KHudai hai ye kah nahin sakti zaban
narm dam-e-guftugu garm dam-e-justuju
razm ho ya bazm ho pak-dil o pak-baz
nuqta-e-parkar-e-haq mard-e-KHuda ka yaqin
aur ye aalam tamam wahm o tilism o majaz
aql ki manzil hai wo ishq ka hasil hai wo
halqa-e-afaq mein garmi-e-mahfil hai wo
kaba-e-arbab-e-fan satwat-e-din-e-mubin
tujh se haram martabat undulusiyon ki zamin
hai tah-e-gardun agar husn mein teri nazir
qalb-e-musalman mein hai aur nahin hai kahin
aah wo mardan-e-haq wo arabi shahsawar
hamil-e-KHalq-e-azim sahab-e-sidq-o-yaqin
jin ki hukumat se hai fash ye ramz-e-gharib
saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shahi nahin
jin ki nigahon ne ki tarbiyat-e-sharq-o-gharb
zulmat-e-europe mein thi jin ki KHirad-rah-bin
jin ke lahu ke tufail aaj bhi hain undulusi
KHush-dil o garam-iKHtilat sada o raushan-jabin
dekhiye is bahr ki tah se uchhalta hai kya
gumbad-e-nilofari rang badalta hai kya
wadi-e-koh-sar mein gharq-e-shafaq hai sahab
lal-e-badaKHshan ke Dher chhoD gaya aaftab
sada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqan ka git
kashti-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabab
aab-e-rawan-e-kabir tere kinare koi
dekh raha hai kisi aur zamane ka KHwab
aalam-e-nau hai abhi parda-e-taqdir mein
meri nigahon mein hai us ki sahar be-hijab
parda uTha dun agar chehra-e-afkar se
la na sakega farang meri nawaon ki tab
jis mein na ho inqalab maut hai wo zindagi
ruh-e-umam ki hayat kashmakash-e-inqilab
surat-e-shamshir hai dast-e-qaza mein wo qaum
karti hai jo har zaman apne amal ka hisab
naqsh hain sab na-tamam KHun-e-jigar ke baghair
naghma hai sauda-e-KHam KHun-e-jigar ke baghair
(5584) Peoples Rate This