Iblis Ki Majlis-e-shura

iblis

ye anasir ka purana khel ye duniya-e-dun

sakinan-e-arsh-e-azam ki tamannaon ka KHun

is ki barbaadi pe aaj aamada hai wo karsaz

jis ne is ka nam rakha tha jahan-e-kaf-o-nun

main ne dikhlaya farangi ko mulukiyat ka KHwab

main ne toDa masjid-o-dair-o-kalisa ka fusun

main ne nadaron ko sikhlaya sabaq taqdir ka

main ne munim ko diya sarmaya dari ka junun

kaun kar sakta hai is ki aatish-e-sozan ko sard

jis ke hangamon mein ho iblis ka soz-e-darun

jis ki shaKHen hon hamari aabiyari se buland

kaun kar sakta hai is naKHl-e-kuhan ko sar-nigun

pahla mushir

is mein kya shak hai ki mohkam hai ye iblisi nizam

puKHta-tar is se hue khoi ghulami mein awam

hai azal se in gharibon ke muqaddar mein sujud

in ki fitrat ka taqaza hai namaz-e-be-qayam

aarzu awwal to paida ho nahin sakti kahin

ho kahin paida to mar jati hai ya rahti hai KHam

ye hamari sai-e-paiham ki karamat hai ki aaj

sufi-o-mulla mulukiyyat ke bande hain tamam

tab-e-mashriq ke liye mauzun yahi afyun thi

warna qawwali se kuchh kam-tar nahin ilm-e-kalam

hai tawaf-o-haj ka hangama agar baqi to kya

kund ho kar rah gai momin ki tegh-e-be-niyam

kis ki nau-midi pe hujjat hai ye farman-e-jadid

hai jihad is daur mein mard-e-musalman par haram

dusra mushir

KHair hai sulatani-e-jamhur ka ghaugha ki shar

tu jahan ke taza fitnon se nahin hai ba-KHabar

pahla mushir

hun magar meri jahan-bini batati hai mujhe

jo mulukiyat ka ek parda ho kya is se KHatar

hum ne KHud shahi ko pahnaya hai jamhuri libas

jab zara aadam hua hai KHud-shanas-o-KHud-nigar

karobar-e-shahryari ki haqiqat aur hai

ye wajud-e-mir-o-sultan par nahin hai munhasir

majlis-e-millat ho ya parwez ka darbar ho

hai wo sultan ghair ki kheti pe ho jis ki nazar

tu ne kya dekha nahin maghrib ka jamhuri nizam

chehra raushan andarun changez se tarik-tar

tisra mushir

ruh-e-sultani rahe baqi to phir kya iztirab

hai magar kya is yahudi ki shararat ka jawab

wo kalim-e-be-tajalli wo masih-e-be-salib

nist paighambar wa-lekin dar baghal darad kitab

kya bataun kya hai kafir ki nigah-e-parda-soz

mashriq-o-maghrib ki qaumon ke liye roz-e-hisab

is se baDh kar aur kya hoga tabiat ka fasad

toD di bandon ne aaqaon ke KHemon ki tanab

chautha mushir

toD is ka rumat-ul-kubra ke aiwanon mein dekh

aal-e-ceaser ko dikhaya hum ne phir ceaser ka KHwab

kaun bahr-e-rum ki maujon se hai lipTa hua

gah baalad-chun-sanobar gah nalad-chun-rubab

tisra mushir

main to is ki aaqibat-bini ka kuchh qail nahin

jis ne afrangi siyasat ko kya yun be-hijab

panchwan mushir iblis ko muKHatab kar ke

ai tere soz-e-nafas se kar-e-alam ustuwar

tu ne jab chaha kiya har pardagi ko aashkar

aab-o-gil teri hararat se jahan-e-soz-o-saz

ablah-e-jannat teri talim se dana-e-kar

tujh se baDh kar fitrat-e-adam ka wo mahram nahin

sada-dil bandon mein jo mashhur hai parwardigar

kaam tha jin ka faqat taqdis-o-tasbih-o-tawaf

teri ghairat se abad tak sar-nigun-o-sharmsar

garche hain tere murid afrang ke sahir tamam

ab mujhe un ki farasat par nahin hai e'tibar

wo yahudi fitna-gar wo ruh-e-mazdak ka buruz

har qaba hone ko hai is ke junun se tar tar

zagh dashti ho raha hai ham-sar-e-shahin-o-chargh

kitni surat se badalta hai mizaj-e-rozgar

chha gai aashufta ho kar wusat-e-aflak par

jis ko nadani se hum samjhe the ek musht-e-ghubar

fitna-e-farda ki haibat ka ye aalam hai ki aaj

kanpte hain kohsar-o-murgh-zar-o-juebar

mere aaqa wo jahan zer-o-zabar hone ko hai

jis jahan ka hai faqat teri siyaadat par madar

(4492) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iblis Ki Majlis-e-shura In English By Famous Poet Allama Iqbal. Iblis Ki Majlis-e-shura is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Iblis Ki Majlis-e-shura for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Iblis Ki Majlis-e-shura in PDF.