Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa2f33c34930516e55973a0b3c99e98c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git - Allama Iqbal Poetry In English - Darsaal

Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git

chishti ne jis zamin mein paigham-e-haq sunaya

nanak ne jis chaman mein wahdat ka git gaya

tatariyon ne jis ko apna watan banaya

jis ne hijaziyon se dasht-e-arab chhuDaya

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

yunaniyon ko jis ne hairan kar diya tha

sare jahan ko jis ne ilm o hunar diya tha

miTTi ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha

turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

TuTe the jo sitare faras ke aasman se

phir tab de ke jis ne chamkae kahkashan se

wahdat ki lai suni thi duniya ne jis makan se

mir-e-arab ko aai ThanDi hawa jahan se

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

bande kalim jis ke parbat jahan ke sina

nuh-e-nabi ka aa kar Thahra jahan safina

rifat hai jis zamin ki baam-e-falak ka zina

jannat ki zindagi hai jis ki faza mein jina

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

(3718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git In English By Famous Poet Allama Iqbal. Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git in PDF.