Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_919f8a5ee0b540ed850e2809b9e0e778, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Farishte Aadam Ko Jannat Se RuKHsat Karte Hain - Allama Iqbal Poetry In English - Darsaal

Farishte Aadam Ko Jannat Se RuKHsat Karte Hain

ata hui hai tujhe roz o shab ki betabi

KHabar nahin ki tu KHaki hai ya ki simabi!

suna hai KHak se teri numud hai lekin

teri sarisht mein hai kaukabi o mahtabi!

jamal apna agar KHwab mein bhi tu dekhe

hazar hosh se KHush-tar teri shakar-KHwabi

giran-baha hai tera girya-e-sahar-gahi

isi se hai tere naKHl-e-kuhan ki shadabi!

teri nawa se hai be-parda zindagi ka zamir

ki tere saz ki fitrat ne ki hai mizrabi!

(3228) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farishte Aadam Ko Jannat Se RuKHsat Karte Hain In English By Famous Poet Allama Iqbal. Farishte Aadam Ko Jannat Se RuKHsat Karte Hain is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Farishte Aadam Ko Jannat Se RuKHsat Karte Hain for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Farishte Aadam Ko Jannat Se RuKHsat Karte Hain in PDF.