Ek Nau-jawan Ke Nam

tere sofe hain afrangi tere qalin hain irani

lahu mujh ko rulati hai jawanon ki tan-asani

imarat kiya shikwa-e-KHusrawi bhi ho to kya hasil

na zor-e-haidari tujh mein na istighna-e-salmani

na DhunD us chiz ko tahzib-e-hazir ki tajalli mein

ki paya main ne istighna mein meraj-e-musalmani

uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein

nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein

na ho naumid naumidi zawal-e-ilm-o-irfan hai

umid-e-mard-e-momin hai KHuda ke raaz-danon mein

nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par

tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein

(3620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nau-jawan Ke Nam In English By Famous Poet Allama Iqbal. Ek Nau-jawan Ke Nam is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Ek Nau-jawan Ke Nam for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Ek Nau-jawan Ke Nam in PDF.