Ek Aarzu
duniya ki mahfilon se ukta gaya hun ya rab
kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho
shorish se bhagta hun dil DhunDta hai mera
aisa sukut jis par taqrir bhi fida ho
marta hun KHamushi par ye aarzu hai meri
daman mein koh ke ek chhoTa sa jhonpaDa ho
aazad fikr se hun uzlat mein din guzarun
duniya ke gham ka dil se kanTa nikal gaya ho
lazzat sarod ki ho chiDiyon ke chahchahon mein
chashme ki shorishon mein baja sa baj raha ho
gul ki kali chaTak kar paigham de kisi ka
saghar zara sa goya mujh ko jahan-numa ho
ho hath ka sirhana sabze ka ho bichhauna
sharmae jis se jalwat KHalwat mein wo ada ho
manus is qadar ho surat se meri bulbul
nanhe se dil mein us ke khaTka na kuchh mera ho
saf bandhe donon jaanib buTe hare hare hon
naddi ka saf pani taswir le raha ho
ho dil-fareb aisa kohsar ka nazara
pani bhi mauj ban kar uTh uTh ke dekhta ho
aaghosh mein zamin ki soya hua ho sabza
phir phir ke jhaDiyon mein pani chamak raha ho
pani ko chhu rahi ho jhuk jhuk ke gul ki Tahni
jaise hasin koi aaina dekhta ho
mehndi lagae suraj jab sham ki dulhan ko
surKHi liye sunahri har phul ki qaba ho
raaton ko chalne wale rah jaen thak ke jis dam
ummid un ki mera TuTa hua diya ho
bijli chamak ke un ko kuTiya meri dikha de
jab aasman pe har su baadal ghira hua ho
pichhle pahr ki koyal wo subh ki moazzin
main us ka ham-nawa hun wo meri ham-nawa ho
kanon pe ho na mere dair o haram ka ehsan
rauzan hi jhonpaDi ka mujh ko sahar-numa ho
phulon ko aae jis dam shabnam wazu karane
rona mera wazu ho nala meri dua ho
is KHamushi mein jaen itne buland nale
taron ke qafile ko meri sada dira ho
har dardmand dil ko rona mera rula de
behosh jo paDe hain shayad unhen jaga de
(4944) Peoples Rate This