Zamistani Hawa Mein Garche Thi Shamshir Ki Tezi

zamistani hawa mein garche thi shamshir ki tezi

na chhuTe mujh se london mein bhi aadab-e-sahar-KHezi

kahin sarmaya-e-mahfil thi meri garm-guftari

kahin sab ko pareshan kar gai meri kam-amezi

zamam-e-kar agar mazdur ke hathon mein ho phir kya

tariq-e-koh-kan mein bhi wahi hile hain parwezi

jalal-e-padshahi ho ki jamhuri tamasha ho

juda ho din siyasat se to rah jati hai changezi

sawad-e-raumat-ul-kubra mein dilli yaad aati hai

wahi ibrat wahi azmat wahi shan-e-dil-awezi

(3452) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamistani Hawa Mein Garche Thi Shamshir Ki Tezi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Zamistani Hawa Mein Garche Thi Shamshir Ki Tezi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Zamistani Hawa Mein Garche Thi Shamshir Ki Tezi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Zamistani Hawa Mein Garche Thi Shamshir Ki Tezi in PDF.