Zamir-e-lala Mai-e-lal Se Hua Labrez
zamir-e-lala mai-e-lal se hua labrez
ishaara pate hi sufi ne toD di parhez
bichhai hai jo kahin ishq ne bisat apni
kiya hai us ne faqiron ko waris-e-parwez
purane hain ye sitare falak bhi farsuda
jahan wo chahiye mujh ko ki ho abhi nau-KHez
kise KHabar hai ki hangama-e-nashur hai kya
teri nigah ki gardish hai meri rusta-KHez
na chhin lazzat-e-ah-e-sahar-gahi mujh se
na kar nigah se taghaful ko iltifat aamez
dil-e-ghamin ke muafiq nahin hai mausam-e-gul
sada-e-murgh-e-chaman hai bahut nashat angez
hadis-e-be-KHabran hai tu ba zamana ba-saz
zamana ba to na sazad tu ba zamana satez
(2747) Peoples Rate This