Ye Piran-e-kalisa-haram Ai Wa-e-majburi
ye piran-e-kalisa-haram ai wa-e-majburi
sila in ki kad-o-kawish ka hai sinon ki be-nuri
yaqin paida kar ai nadan yaqin se hath aati hai
wo darweshi ki jis ke samne jhukti hai faghfuri
kabhi hairat kabhi masti kabhi aah-e-sahar-gahi
badalta hai hazaron rang mera dard-e-mahjuri
had-e-idrak se bahar hain baaten ishq o masti ki
samajh mein is qadar aaya ki dil ki maut hai duri
wo apne husn ki masti se hain majbur-e-paidai
meri aankhon ki binai mein hain asbab-e-masturi
koi taqdir ki mantiq samajh sakta nahin warna
na the turkan-e-usmani se kam turkan-e-taimuri
faqiran-e-haram ke hath 'iqbaal' aa gaya kyunkar
mayassar mir o sultan ko nahin shahin-e-kafuri
(2913) Peoples Rate This