Ya Rab Ye Jahan-e-guzran KHub Hai Lekin
ya rab ye jahan-e-guzran KHub hai lekin
kyun KHwar hain mardan-e-safa-kesh o hunar-mand
go is ki KHudai mein mahajan ka bhi hai hath
duniya to samajhti hai farangi ko KHudawand
tu barg-e-gaya hai na wahi ahl-e-KHirad ra
o kisht-e-gul-o-lala ba-baKHshad ba-KHare chand
hazir hain kalisa mein kabab o mai-e-gulgun
masjid mein dhara kya hai ba-juz mauiza o pand
ahkaam tere haq hain magar apne mufassir
tawil se quran ko bana sakte hain pazand
firdaus jo tera hai kisi ne nahin dekha
afrang ka har qarya hai firdaus ki manind
muddat se hai aawara-e-aflak mera fikr
kar de ise ab chand ke ghaaron mein nazar-band
fitrat ne mujhe baKHshe hain jauhar malakuti
KHaki hun magar KHak se rakhta nahin paiwand
darwesh-e-KHuda-mast na sharqi hai na gharbi
ghar mera na dilli na safahan na samarqand
kahta hun wahi baat samajhta hun jise haq
ne aabla-e-masjid hun na tahzib ka farzand
apne bhi KHafa mujh se hain begane bhi na-KHush
main zahr-e-halahal ko kabhi kah na saka qand
mushkil hai ek banda-e-haq-bin-o-haq-andesh
KHashak ke tode ko kahe koh-e-damawand
hun aatish-e-namrud ke sholon mein bhi KHamosh
main banda-e-momin hun nahin dana-e-aspand
pur-soz nazar-baz o niko-bin o kam aarzu
aazad o giraftar o tahi kesa o KHursand
har haal mein mera dil-e-be-qaid hai KHurram
kya chhinega ghunche se koi zauq-e-shakar-KHand
chup rah na saka hazrat-e-yazdan mein bhi 'iqbaal'
karta koi is banda-e-gustaKH ka munh band
(3911) Peoples Rate This