Wahi Meri Kam-nasibi Wahi Teri Be-niyazi
wahi meri kam-nasibi wahi teri be-niyazi
mere kaam kuchh na aaya ye kamal-e-nai-nawazi
main kahan hun tu kahan hai ye makan ki la-makan hai
ye jahan mera jahan hai ki teri karishma-sazi
isi kashmakash mein guzrin meri zindagi ki raaten
kabhi soz-o-saz-e-'rumi' kabhi pech-o-tab-e-'raazi'
wo fareb-KHurda shahin ki pala ho kargason mein
use kya KHabar ki kya hai rah-o-rasm-e-shahbazi
na zaban koi ghazal ki na zaban se ba-KHabar main
koi dil-kusha sada ho ajami ho ya ki tazi
nahin faqr o saltanat mein koi imtiyaz aisa
ye sipah ki tegh-bazi wo nigah ki tegh-bazi
koi karwan se TuTa koi bad-guman haram se
ki amir-e-karwan mein nahin KHu-e-dil-nawazi
(3585) Peoples Rate This