Tha Jahan Madrasa-e-shiri-o-shahanshahi
tha jahan madrasa-e-shiri-o-shahanshahi
aaj in KHanqahon mein hai faqat rubahi
nazar aai na mujhe qafila-salaron mein
wo shabani ki hai tamhid-e-kalimul-lahi
lazzat-e-naghma kahan murgh-e-KHush-alhan ke liye
aah us bagh mein karta hai nafas kotahi
ek sarmasti o hairat hai sarapa tarik
ek sarmasti o hairat hai tamam aagahi
sifat-e-barq chamakta hai mera fikr-e-buland
ki bhaTakte na phiren zulmat-e-shab mein rahi
(1989) Peoples Rate This