Shuur O Hosh O KHirad Ka Moamla Hai Ajib
shuur o hosh o KHirad ka moamla hai ajib
maqam-e-shauq mein hain sab dil o nazar ke raqib
main jaanta hun jamaat ka hashr kya hoga
masail-e-nazari mein ulajh gaya hai KHatib
agarche mere nasheman ka kar raha hai tawaf
meri nawa mein nahin tair-e-chaman ka nasib
suna hai main ne suKHan-ras hai turk-e-usmani
sunae kaun use 'iqbaal' ka ye sher-e-gharib
samajh rahe hain wo europe ko ham-jawar apna
sitare jin ke nasheman se hain ziyaada qarib
(2102) Peoples Rate This