Raha Na Halqa-e-sufi Mein Soz-e-mushtaqi

raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi

fasana-ha-e-karamat rah gae baqi

KHarab koshak-e-sultan o KHanqah-e-faqir

fughan ki taKHt o musalla kamal-e-razzaqi

karegi dawar-e-mahshar ko sharmsar ek roz

kitab-e-sufi-o-mulla ki sada-auraqi

na chini o arabi wo na rumi o shami

sama saka na do aalam mein mard-e-afaqi

mai-e-shabana ki masti to ho chuki lekin

khaTak raha hai dilon mein karishma-e-saqi

chaman mein talKH-nawai meri gawara kar

ki zahr bhi kabhi karta hai kar-e-tiryaqi

aziz-tar hai mata-e-amir-o-sultan se

wo sher jis mein ho bijli ka soz o barraqaifi

(2206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raha Na Halqa-e-sufi Mein Soz-e-mushtaqi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Raha Na Halqa-e-sufi Mein Soz-e-mushtaqi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Raha Na Halqa-e-sufi Mein Soz-e-mushtaqi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Raha Na Halqa-e-sufi Mein Soz-e-mushtaqi in PDF.