Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_995473aeb357673a25ae5e44813e6831, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Charagh-e-lala Se Raushan Hue Koh O Daman - Allama Iqbal Poetry In English - Darsaal

Phir Charagh-e-lala Se Raushan Hue Koh O Daman

phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman

mujh ko phir naghmon pe uksane laga murgh-e-chaman

phul hain sahra mein ya pariyan qatar andar qatar

ude ude nile nile pile pile pairahan

barg-e-gul par rakh gai shabnam ka moti baad-e-subh

aur chamkati hai us moti ko suraj ki kiran

husn-e-be-parwa ko apni be-naqabi ke liye

hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban

apne man mein Dub kar pa ja suragh-e-zindagi

tu agar mera nahin banta na ban apna to ban

man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq

tan ki duniya tan ki duniya sud o sauda makr o fan

man ki daulat hath aati hai to phir jati nahin

tan ki daulat chhanw hai aata hai dhan jata hai dhan

man ki duniya mein na paya main ne afrangi ka raj

man ki duniya mein na dekhe main ne shaiKH o barhaman

pani pani kar gai mujko qalandar ki ye baat

tu jhuka jab ghair ke aage na man tera na tan

(3143) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Charagh-e-lala Se Raushan Hue Koh O Daman In English By Famous Poet Allama Iqbal. Phir Charagh-e-lala Se Raushan Hue Koh O Daman is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Phir Charagh-e-lala Se Raushan Hue Koh O Daman for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Phir Charagh-e-lala Se Raushan Hue Koh O Daman in PDF.