Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b6d802f2cfcb5507624bc7b9936c5d53, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ne Mohra Baqi Ne Mohra-bazi - Allama Iqbal Poetry In English - Darsaal

Ne Mohra Baqi Ne Mohra-bazi

ne mohra baqi ne mohra-bazi

jita hai 'rumi' haara hai 'raazi'

raushan hai jam-e-jamshed ab tak

shahi nahin hai ba-shisha-bazi

dil hai musalman mera na tera

tu bhi namazi main bhi namazi

main jaanta hun anjam us ka

jis marke mein mulla hon ghazi

turki bhi shirin tazi bhi shirin

harf-e-mohabbat turki na tazi

aazar ka pesha KHara-tarashi

kar-e-KHalilan KHara-gudazi

tu zindagi hai paendagi hai

baqi hai jo kuchh sab KHak-bazi

(2081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ne Mohra Baqi Ne Mohra-bazi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Ne Mohra Baqi Ne Mohra-bazi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Ne Mohra Baqi Ne Mohra-bazi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Ne Mohra Baqi Ne Mohra-bazi in PDF.