Nala Hai Bulbul-e-shorida Tera KHam Abhi
nala hai bulbul-e-shorida tera KHam abhi
apne sine mein ise aur zara tham abhi
puKHta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql
ishq ho maslahat-andesh to hai KHam abhi
be-KHatar kud paDa aatish-e-namrud mein ishq
aql hai mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi
ishq farmuda-e-qasid se subuk-gam-e-amal
aql samjhi hi nahin mani-e-paigham abhi
shewa-e-ishq hai aazadi o dahr-ashobi
tu hai zunnari-e-but-KHana-e-ayyam abhi
uzr-e-parhez pe kahta hai bigaD kar saqi
hai tere dil mein wahi kawish-e-anjam abhi
sai-e-paiham hai taraazu-e-kam-o-kaif-e-hayat
teri mizan hai shumar-e-sahar-o-sham abhi
abr-e-naisan ye tunuk-baKHshi-e-shabnam kab tak
mere kohsar ke lale hain tahi-jam abhi
baada-gardan-e-ajam wo arabi meri sharab
mere saghar se jhijakte hain mai-asham abhi
KHabar 'iqbaal' ki lai hai gulistan se nasim
nau-giraftar phaDakta hai tah-e-dam abhi
(2796) Peoples Rate This