Na Tu Zamin Ke Liye Hai Na Aasman Ke Liye
na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
jahan hai tere liye tu nahin jahan ke liye
ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke
wo KHar-o-KHas ke liye hai ye nistan ke liye
maqam-e-parwarish-e-ah-o-lala hai ye chaman
na sair-e-gul ke liye hai na aashiyan ke liye
rahega rawi o nil o furaat mein kab tak
tera safina ki hai bahr-e-be-karan ke liye
nishan-e-rah dikhate the jo sitaron ko
taras gae hain kisi mard-e-rah-dan ke liye
nigah buland suKHan dil-nawaz jaan pur-soz
yahi hai raKHt-e-safar mir-e-karwan ke liye
zara si baat thi andesha-e-ajam ne use
baDha diya hai faqat zeb-e-dastan ke liye
mere gulu mein hai ek naghma jibrail-ashob
sambhaal kar jise rakkha hai la-makan ke liye
(4186) Peoples Rate This