Na Ho Tughyan-e-mushtaqi To Main Rahta Nahin Baqi
na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi
ki meri zindagi kya hai yahi tughyan-e-mushtaqi
mujhe fitrat nawa par pai-ba-pai majbur karti hai
abhi mahfil mein hai shayad koi dard-ashna baqi
wo aatish aaj bhi tera nasheman phunk sakti hai
talab sadiq na ho teri to phir kya shikwa-e-saqi
na kar afrang ka andaza us ki tabnaki se
ki bijli ke charaghon se hai is jauhar ki barraqi
dilon mein walwale aafaq-giri ke nahin uThte
nigahon mein agar paida na ho andaz-e-afaqi
KHizan mein bhi kab aa sakta tha main sayyaad ki zad mein
meri ghammaz thi shaKH-e-nasheman ki kam auraqi
ulaT jaengi tadbiren badal jaengi taqdiren
haqiqat hai nahin mere taKHayyul ki hai KHallaqi
(2150) Peoples Rate This