Musalman Ke Lahu Mein Hai Saliqa Dil-nawazi Ka

musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka

murawwat husn-e-alam-gir hai mardan-e-ghazi ka

shikayat hai mujhe ya rab KHudawandan-e-maktab se

sabaq shahin bachchon ko de rahe hain KHak-bazi ka

bahut muddat ke naKHchiron ka andaz-e-nigah badla

ki main ne fash kar Dala tariqa shah-bazi ka

qalandar juz do harf-e-la-ilah kuchh bhi nahin rakhta

faqih-e-shahr qarun hai lughat-ha-e-hijazi ka

hadis-e-baada-o-mina-o-jam aati nahin mujh ko

na kar KHara-shigafon se taqaza shisha-sazi ka

kahan se tu ne ai 'iqbaal' sikhi hai ye darweshi

ki charcha padshahon mein hai teri be-niyazi ka

(3602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musalman Ke Lahu Mein Hai Saliqa Dil-nawazi Ka In English By Famous Poet Allama Iqbal. Musalman Ke Lahu Mein Hai Saliqa Dil-nawazi Ka is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Musalman Ke Lahu Mein Hai Saliqa Dil-nawazi Ka for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Musalman Ke Lahu Mein Hai Saliqa Dil-nawazi Ka in PDF.