Mujhe Aah-o-fughan-e-nim-shab Ka Phir Payam Aaya
mujhe aah-o-fughan-e-nim-shab ka phir payam aaya
tham ai rah-rau ki shayad phir koi mushkil maqam aaya
zara taqdir ki gahraiyon mein Dub ja tu bhi
ki is jangah se main ban ke tegh-e-be-niyam aaya
ye misra likh diya kis shoKH ne mehrab-e-masjid par
ye nadan gir gae sajdon mein jab waqt-e-qayam aaya
chal ai meri gharibi ka tamasha dekhne wale
wo mahfil uTh gai jis dam to mujh tak daur-e-jam aaya
diya 'iqbaal' ne hindi musalmanon ko soz apna
ye ek mard-e-tan-asan tha tan-asanon ke kaam aaya
usi 'iqbaal' ki main justuju karta raha barson
baDi muddat ke baad aaKHir wo shahin zer-e-dam aaya
(2319) Peoples Rate This