Meri Nawa-e-shauq Se Shor Harim-e-zat Mein

meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein

ghulghula-ha-e-al-aman but-kada-e-sifat mein

hur o farishta hain asir mere taKHaiyyulat mein

meri nigah se KHalal teri tajalliyat mein

garche hai meri justuju dair o haram ki naqsha-band

meri fughan se rustaKHez kaba o somnat mein

gah meri nigah-e-tez chir gai dil-e-wajud

gah ulajh ke rah gai mere tawahhumat mein

tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi fash kar diya

main hi to ek raaz tha sina-e-kaenat mein

(1851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nawa-e-shauq Se Shor Harim-e-zat Mein In English By Famous Poet Allama Iqbal. Meri Nawa-e-shauq Se Shor Harim-e-zat Mein is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Meri Nawa-e-shauq Se Shor Harim-e-zat Mein for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Meri Nawa-e-shauq Se Shor Harim-e-zat Mein in PDF.