Majnun Ne Shahr ChhoDa To Sahra Bhi ChhoD De
majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de
nazzare ki hawas ho to laila bhi chhoD de
waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad
duniya jo chhoD di hai to uqba bhi chhoD de
taqlid ki rawish se to behtar hai KHud-kushi
rasta bhi DhunD KHizr ka sauda bhi chhoD de
manind-e-KHama teri zaban par hai harf-e-ghair
begana shai pe nazish-e-beja bhi chhoD de
lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq
bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhoD de
shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal
is bagh mein qayam ka sauda bhi chhoD de
hai aashiqi mein rasm alag sab se baiThna
but-KHana bhi haram bhi kalisa bhi chhoD de
sauda-gari nahin ye ibaadat KHuda ki hai
ai be-KHabar jaza ki tamanna bhi chhoD de
achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql
lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de
jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar
shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhoD de
shoKHi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim
shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhoD de
waiz subut lae jo mai ke jawaz mein
'iqbaal' ko ye zid hai ki pina bhi chhoD de
(2330) Peoples Rate This