KHudi Wo Bahr Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin
KHudi wo bahr hai jis ka koi kinara nahin
tu aabju ise samjha agar to chaara nahin
tilism-e-gumbad-e-gardun ko toD sakte hain
zujaj ki ye imarat hai sang-e-KHara nahin
KHudi mein Dubte hain phir ubhar bhi aate hain
magar ye hausla-e-mard-e-hech-kara nahin
tere maqam ko anjum-shanas kya jaane
ki KHak-e-zinda hai tu taba-e-sitara nahin
yahin bahisht bhi hai hur o jibrail bhi hai
teri nigah mein abhi shoKHi-e-nazara nahin
mere junun ne zamane ko KHub pahchana
wo pairahan mujhe baKHsha ki para para nahin
ghazab hai ain-e-karam mein baKHil hai fitrat
ki lal-e-nab mein aatish to hai sharara nahin
(3230) Peoples Rate This