KHird-mandon Se Kya Puchhun Ki Meri Ibtida Kya Hai

KHird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai

ki main is fikr mein rahta hun meri intiha kya hai

KHudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle

KHuda bande se KHud puchhe bata teri raza kya hai

maqam-e-guftugu kya hai agar main kimiya-gar hun

yahi soz-e-nafas hai aur meri kimiya kya hai

nazar aain mujhe taqdir ki gahraiyan is mein

na puchh ai ham-nashin mujh se wo chashm-e-surma-sa kya hai

agar hota wo majzub-e-farangi is zamane mein

to 'iqbaal' us ko samjhata maqam-e-kibriya kya hai

nawa-e-subh-gahi ne jigar KHun kar diya mera

KHudaya jis KHata ki ye saza hai wo KHata kya hai

(3548) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHird-mandon Se Kya Puchhun Ki Meri Ibtida Kya Hai In English By Famous Poet Allama Iqbal. KHird-mandon Se Kya Puchhun Ki Meri Ibtida Kya Hai is written by Allama Iqbal. Read famous Poem KHird-mandon Se Kya Puchhun Ki Meri Ibtida Kya Hai for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download KHird-mandon Se Kya Puchhun Ki Meri Ibtida Kya Hai in PDF.