KHirad Ne Mujhko Ata Ki Nazar Hakimana

KHirad ne mujh ko ata ki nazar hakimana

sikhai ishq ne mujh ko hadis-e-rindana

na baada hai na surahi na daur-e-paimana

faqat nigah se rangin hai bazm-e-jaanana

meri nawa-e-pareshan ko shairi na samajh

ki main hun mahram-e-raaz-e-durun-e-mai-KHana

kali ko dekh ki hai tishna-e-nasim-e-sahar

isi mein hai mere dil ka tamam afsana

koi batae mujhe ye ghayab hai ki huzur

sab aashna hain yahan ek main hun begana

farang mein koi din aur bhi Thahar jaun

mere junun ko sambhaale agar ye virana

maqam-e-aql se aasan guzar gaya 'iqbaal'

maqam-e-shauq mein khoya gaya wo farzana

(2107) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHirad Ne Mujhko Ata Ki Nazar Hakimana In English By Famous Poet Allama Iqbal. KHirad Ne Mujhko Ata Ki Nazar Hakimana is written by Allama Iqbal. Read famous Poem KHirad Ne Mujhko Ata Ki Nazar Hakimana for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download KHirad Ne Mujhko Ata Ki Nazar Hakimana in PDF.