Karenge Ahl-e-nazar Taza Bastiyan Aabaad
karenge ahl-e-nazar taza bastiyan aabaad
meri nigah nahin su-e-kufa-o-baghdad
ye madrasa ye jawan ye surur o ranai
inhin ke dam se hai mai-KHana-e-farang aabaad
na falsafi se na mulla se hai gharaz mujh ko
ye dil ki maut wo andesha o nazar ka fasad
faqih-e-shahr ki tahqir kya majal meri
magar ye baat ki main DhunDta hun dil ki kushad
KHarid sakte hain duniya mein ishrat-e-parwez
KHuda ki den hai sarmaya-e-gham-e-farhad
kiye hain fash rumuz-e-qalandari main ne
ki fikr-e-madrasa-o-KHanqah ho aazad
rishi ke faqon se TuTa na barhaman ka tilism
asa na ho to kalimi hai kar-e-be-buniyaad
(2595) Peoples Rate This