Kamal-e-tark Nahin Aab-o-gil Se Mahjuri

kamal-e-tark nahin aab-o-gil se mahjuri

kamal-e-tark hai tasKHir-e-KHaki o nuri

main aise faqr se ai ahl-e-halqa baz aaya

tumhaara faqr hai be-daulati o ranjuri

na faqr ke liye mauzun na saltanat ke liye

wo qaum jis ne ganwai mata-e-taimuri

sune na saqi-e-mehwash to aur bhi achchha

ayyar-e-garmi-e-sohbat hai harf-e-mazuri

hakim o aarif o sufi tamam mast-e-zahur

kise KHabar ki tajalli hai ain-e-masturi

wo multafit hon to kunj-e-qafas bhi aazadi

na hon to sehn-e-chaman bhi maqam-e-majburi

bura na man zara aazma ke dekh ise

farang dil ki KHarabi KHirad ki mamuri

(2325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamal-e-tark Nahin Aab-o-gil Se Mahjuri In English By Famous Poet Allama Iqbal. Kamal-e-tark Nahin Aab-o-gil Se Mahjuri is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Kamal-e-tark Nahin Aab-o-gil Se Mahjuri for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Kamal-e-tark Nahin Aab-o-gil Se Mahjuri in PDF.