Kabhi Ai Haqiqat-e-muntazar Nazar Aa Libas-e-majaz Mein
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein
ki hazaron sajde taDap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein
tarab-ashna-e-KHarosh ho to nawa hai mahram-e-gosh ho
wo sarod kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz mein
tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina
ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kirmak-e-shama ne ye kaha ki wo asar-e-kuhan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-KHana-KHarab ko tere afw-e-banda-nawaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shoKHiyan
na wo ghaznawi mein taDap rahi na wo KHam hai zulf-e-ayaz main
main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein
(4023) Peoples Rate This