Jab Ishq Sikhata Hai Aadab-e-KHud-agahi
jab ishq sikhata hai aadab-e-KHud-agahi
khulte hain ghulamon par asrar-e-shahanshahi
'attar' ho 'rumi' ho 'raazi' ho 'ghazali' ho
kuchh hath nahin aata be-ah-e-sahar-gahi
naumid na ho in se ai rahbar-e-farzana
kam-kosh to hain lekin be-zauq nahin rahi
ai tair-e-lahauti us rizq se maut achchhi
jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi
dara o sikandar se wo mard-e-faqir aula
ho jis ki faqiri mein bu-e-asadul-lahai
aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki
allah ke sheron ko aati nahin rubahi
(3311) Peoples Rate This