Ishq Se Paida Nawa-e-zindagi Mein Zer-o-bam

ishq se paida nawa-e-zindagi mein zer-o-bam

ishq se miTTi ki taswiron mein soz-e-dam-ba-dam

aadmi ke reshe reshe mein sama jata hai ishq

shaKH-e-gul mein jis tarah baad-e-sahar-gahi ka nam

apne raaziq ko na pahchane to muhtaj-e-muluk

aur pahchane to hain tere gada dara o jam

dil ki aazadi shahanshahi shikam saman-e-maut

faisla tera tere hathon mein hai dil ya shikam

ai musalman apne dil se puchh mulla se na puchh

ho gaya allah ke bandon se kyun KHali haram

(2837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Se Paida Nawa-e-zindagi Mein Zer-o-bam In English By Famous Poet Allama Iqbal. Ishq Se Paida Nawa-e-zindagi Mein Zer-o-bam is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Ishq Se Paida Nawa-e-zindagi Mein Zer-o-bam for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Ishq Se Paida Nawa-e-zindagi Mein Zer-o-bam in PDF.