Hua Na Zor Se Uske Koi Gareban Chaak
hua na zor se us ke koi gareban chaak
agarche maghribiyon ka junun bhi tha chaalak
mai-e-yaqin se zamir-e-hayat hai pur-soz
nasib-e-madrasa ya rab ye aab-e-atish-nak
uruj-e-adam-e-KHaki ke muntazir hain tamam
ye kahkashan ye sitare ye nil-gun aflak
yahi zamana-e-hazir ki kaenat hai kya
dimagh raushan o dil tera o nigah bebak
tu be-basar ho to ye mana-e-nigah bhi hai
wagarna aag hai momin jahan KHas o KHashak
zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-rah
kise KHabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak
jahan tamam hai miras mard-e-momin ki
mere kalam pe hujjat hai nukta-e-laulak
(2082) Peoples Rate This