Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah-e-nau
har ek maqam se aage guzar gaya mah-e-nau
kamal kis ko mayassar hua hai be-tag-o-dau
nafas ke zor se wo ghuncha wa hua bhi to kya
jise nasib nahin aaftab ka partaw
nigah pak hai teri to pak hai dil bhi
ki dil ko haq ne kiya hai nigah ka pairaw
panap saka na KHayaban mein lala-e-dil-soz
ki sazgar nahin ye jahan-e-gandum-o-jau
rahe na 'aibak' o 'ghauri' ke marke baqi
hamesha taza o shirin hai naghma-e-'KHusrau'
(2036) Peoples Rate This