Har Chiz Hai Mahw-e-KHud-numai

har chiz hai mahw-e-KHud-numai

har zarra shahid-e-kibriyai

be-zauq-e-numud zindagi maut

tamir-e-KHudi mein hai KHudai

rai zor-e-KHudi se parbat

parbat zof-e-KHudi se rai

tare aawara o kam-amez

taqdir-e-wajud hai judai

ye pichhle pahar ka zard-ru chand

be-raaz o niyaz-e-ashnai

teri qindil hai tera dil

tu aap hai apni raushnai

ek tu hai ki haq hai is jahan mein

baqi hai numud-e-simyai

hain uqda-kusha ye KHar-e-sahra

kam kar gila-e-barhana-pai

(1939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Chiz Hai Mahw-e-KHud-numai In English By Famous Poet Allama Iqbal. Har Chiz Hai Mahw-e-KHud-numai is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Har Chiz Hai Mahw-e-KHud-numai for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Har Chiz Hai Mahw-e-KHud-numai in PDF.