Garm-e-fughan Hai Jaras UTh Ki Gaya Qafila

garm-e-fughan hai jaras uTh ki gaya qafila

wae wo rah-rau ki hai muntazir-e-rahila

teri tabiat hai aur tera zamana hai aur

tere muafiq nahin KHanqahi silsila

dil ho ghulam-e-KHirad ya ki imam-e-KHirad

salik-e-rah hoshiyar saKHt hai ye marhala

us ki KHudi hai abhi sham-o-sahar mein asir

gardish-e-dauran ka hai jis ki zaban par gila

tere nafas se hui aatish-e-gul tez-tar

murgh-e-chaman hai yahi teri nawa ka sila

(2054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garm-e-fughan Hai Jaras UTh Ki Gaya Qafila In English By Famous Poet Allama Iqbal. Garm-e-fughan Hai Jaras UTh Ki Gaya Qafila is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Garm-e-fughan Hai Jaras UTh Ki Gaya Qafila for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Garm-e-fughan Hai Jaras UTh Ki Gaya Qafila in PDF.