Faqr Ke Hain Mojazat Taj O Sarir O Sipah

faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah

faqr hai miron ka mir faqr hai shahon ka shah

ilm ka maqsud hai paki-e-aql o KHirad

faqr ka maqsud hai iffat-e-qalb-o-nigah

ilm faqih o hakim faqr masih o kalim

ilm hai juya-e-rah faqr hai dana-e-rah

faqr maqam-e-nazar ilm maqam-e-KHabar

faqr masti sawab ilm mein masti gunah

ilm ka maujud aur faqr ka maujud aur

ashhado an la ilah ashhado an la ilah

chaDhti hai jab faqr ki san pe tegh-e-KHudi

ek sipahi ki zarb karti hai kar-e-sipah

dil agar is KHak mein zinda o bedar ho

teri nigah toD de aaina-e-mehr-o-mah

(2591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqr Ke Hain Mojazat Taj O Sarir O Sipah In English By Famous Poet Allama Iqbal. Faqr Ke Hain Mojazat Taj O Sarir O Sipah is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Faqr Ke Hain Mojazat Taj O Sarir O Sipah for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Faqr Ke Hain Mojazat Taj O Sarir O Sipah in PDF.